
Allah tala tamam alm-e- Islam ke khair karay aor is pur fitan dor say bachay, jahah aj her koi apnay apko Mufti, Alam, na janay kia bana baitha hay. Wassalamo alaikum warahmatullah wabarakatohoo. (Allah watala hamain sahieh manoun main apna aor apnay Habib sullalah o alaih e wasallam ka pasandedah bandoun main shama karay) Ameen.! Bayhaqay e la alaha illallah o Muhammad u Rasool Allah. Moman ke yeh shan hay, kay Allah watala ko Aik manay, Nabi Kareem Sullalaho alaih e wasalam ke Rasalat aor akhri Nabi honi ka iqrar karay, warna kuch hasal nahin hogha, na dunya kam aie ghe, aor na akhrat mai ko thakan melay gha, masaway e dozakh kay. Allah watala hum subko sahieh manoun main Musalamn banay aoy rah-e-haq per hamaish chalay rakhay.yeh dunya Momankay leyah Imtahan aoy kafar kay leyah waqti toor per jannat dakhai dainay wali dilfaraib o dilkush mahsoos hoti hay. Khud be bacho aor apnay ahlao-aayal ko bhe us aggh say bachao. Dunya to jaisay tasay ro dho kay guzar jay ghe, per akhrat ke gharian bohat khatan aor dil hala dainay wali hain. Khudara apnay apko samjho aor apnay diloun ko shafaf aiena bana lo. Gusthi ke mafi chahoun gha, ager aik unggli akkesi ki taraf uothain to baqi char apke hud zamanat day rahe hote hain. han ap yamain kesi ke bat say itfaq is leyah kar latay hain,kay is mozi janwar say bacna aor bachana zaroori hay, to phir koshish karain, agher samajhtay siraf aor siraf ain bain hain to chorh dain, aor Allah aor us kay Rasool Sullahoalaih-e-wasalam kay batay huway tareqoun per chalain mazeed bahtar tareeqay say,koshan rahain,(aab yeh kaisay pata chalay gha kon saheh aor kon galat hay) Muhtasir yehe kahoun gha kay aikmomanka dil kabhi be ghalat faisla nahien karta, is kayleyay sharat siraf aor seraf moman ke qaid hay, ab kon moman aor kon nahien iska bhi faislah wohe dil karta hay, jo iskay mazaj koparkhany ke ahleyat rakhta hay. kay Huda kay lieay Dusman ko dushman jano, aor Dosat ko dosat. (Is ko kahtay hain galti per tail ka kam) lehaza maire tamam kareen o moazzazeen say iltamas hay. Jaisay Mufti sahib ke tahreer main kuch shbhat hain, us say be zyadah ap nay ughlay hain. raha Mufti sahib ka zekar ,na main apko janta houn aor na Mufti sahib ko. Muhtaram aise shar angais batain aor munafqat sadah loh Insanoun main mat phailo. Laikan aghar kesi ko Mirza Ghulam Ahmad Qadyan main koi shak hay, who bhe us paleet ka sathi hay aor uska thakana bohat bura hay. Mairay leyah donoon baesay eizato ahtaram hain. fatwa laganay say pahlay hamin zaroor apnay garebahoon main khankna chaiahay. siraf thorah sa asharah karoun gha, apko apna nam zaher karnay main kia muskal nazar aa rahi thee, kay ap aik farzi dost ban ghay, mujhay aisa lagya hay kay is kahani ka kuch kardar apbhi hain. Apki is tahreer par main boaht kush likh sakta huon. Kuionkay apnai be Muft-e-azam bannay ke bharpoor koshih ke. Mujhay yeh samaghany aor likhnay maun koi dashwari nahin.
